Stock Kya Hai?
Sabse Pehle Janate hai Ki Stock Kya Hota Hain. Stock
Means Jo Bhi Goods
(Maal) Ko Purchase Karte Hai Us Goods Ko Ek Jagah Store Karke
Rakhne Ko Hum Stock Kahte Hai. Aur Stock Group Means Jo Bhi Hum Goods Ko
Apne Stock Me Rakhe Hai Wo Kis Group Me Hai. (Suppose Hume T.V Ko Purchase Kiya
Market Se , To wo T.V Kis Company Ka Hai, L.G Ka Hai Ya Phir Sony Company Ka
Hai.
Stock Groups Kya Hai.
Stock Group Matlab Stock Me Rakhei Hui Ek Hi Type Ki Alag-2 Vastuvo (वस्तुवो) Ko Pahchanane Me Help Karta Hai. Usi Ko Tally Me Stock Group Kahte Hai. Stock Group Ka Means, Types Of Business Se Bhi Hai. Jaise Ki Aap Kis Chij Ka Business Kar Rahe Hai-
Suppose Aap Furniture Ka
Business Kar Rahe Hai To Hamara Stock Group Hoga Furniture. Jaise Ki Hume Ledgers
Create Karne Ke Liye Groups Ki Jarurat Padti Thi, Usi Tarah Hamko Stock Items
Ko Create Karne Ke Liye Stock Groups Ki Jarurat Padti Hai.
1.Laptop ( Main Stock Group).
Lenovo Laptop
-Stock Group
Under
Laptop
HP Laptop
-Stock Group Under
Laptop
ASUS Laptop
-Stock Group
Under Laptop
2.Mobile ( Main Stock Group).
Nokia Mobile
-Stock Group
Under
Mobile
Redmi Mobile
-Stock Group
Under
Mobile
Samsung Mobile
-Stock Group Under
Mobile
Is Example ka Matlab Ye Hai
Ki Laptop Ke
Stock Group Me Alag Alag Laptops Rakhe hue Hai - Like (Lenovo, HP, ASUS) Etc.
Thik Usi Tarah Mobile Ke Stock Group Me Mobile Alag-2 Mobile Rakha
Hua Hai- Like (Nokia, Redmi, Samsung Ka).
Tally Me Stock Group Banana:-
STEP-1: Tally
Me Stock Group Banane Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info Par Jake
Click Kare Fir Stock
Group Me Click Kare, Then Create Option Par
Click Kare.
STEP-2: Stock
group Me Name Ke Box Me Us Group Ka Name Likhege Jisko, Aapko Create Karna Hai.
Example Ham Laptop
Ka Stock Group Create Kar Rahe Hai.
STEP-3: Under
Ke Option Me Hum Primary Hi Rahne Dege.
STEP-4: Uske
Niche should
Quantity Of Item be Added Me Hum (Yes) Kar
Dege, Iska Matlab Ye Hai Ki Kya Aap Quantity Of Item Ko Add Karna Chahate Hai
ya Nahi.
STEP-5: Sari Details Fill Karne Ke Baad Hum Yes Par Click Karke Save
Kar Lege. Ab Hamara Stock Group Ban Gaya Hain.
Stock Group Ko Dakhna, Alter Karna Aur Delete Karna:
Stock Group ko Dakhne Ke Liye Gateway Of Tally Me
Inventory Info me jake Stock Group Me Display Option Par Click Karege, To Aapne
Jo Jo Bhi stock Groups ko, Create Kiya Hai wo Sabhi Stock groups Aapko Dikhai
Dege.
Stock Group Ko Alter Karna:-
Stock Group ko Edit Karne Ke
Liye Aapko Alter Option Me jake Click Karna Hai. Waha par List Of stock group
Me Wo group Ko select karege jisko Alter Karna Hai. wo Group Open Ho Jaege, Ab
Aap Group Me Details Ko Edit Kar Sakte Hai.
Stock Group Ko Delete Karna:-
Stock Group Ko Delete Karne Ke
Liye Bhi Hamko Alter Option Me Jake, List me Jo Group Ko Delete Karna Hai Usko
select Karege. Aur (Alt+D) Keyboard
Se Press karege Wo Stock Group Delete Ho Jaega.
Single Stock Group Kya Hain?
Single Stock Group me Hum Only Ek Hi Time Par Ek Hi
Stock Group Ko Create Kar Sakte Hai.
Multi-Stock Group Kya Hai?
Multi-Stock Group Me Ek
Hi Time Me Kai Sare Stock groups Ko Create Kar Sakte Hai.Aur Apne Time Ko
Utilize Kar Sakte Hai. Multi-Stock
group Create Karne Ke Liye Inventory Info Me Stock group Me
Multi-stock Me Jake Crate Option par Click Kare then Aapko Multi Stock group Ki
window Dikhai Degi. Yaha Under Me All Items ko Select Karege Aur Name Of Stock
group Me Us Group Ka Name Likhe, Jisko Aapko Create Karna Hai. Aur Under Me
Primary Me Rakhege Then Should Quantity Can Be Added Me Yes Select Karege.
Example:- Yaha
Hume T.V, Mobile, Fridge, Computers, Washing Machine Etc Groups Ko Create Kiya
Hai.
Stock Item Kya Hai?
Jin Bhi Chijo Ko Hum Apne Business Me Sale Ya Purchase Karte Hai
Unko Hi Hum Stock
Items Kahte Hai. Business Me Stock Item Ka Use Aksar Transaction Me
Kiya Jata Hai.
Tally Me Stock Items Ko Kaise Banaye?
Tally Me Stock Items Ko Banane
Ke Liye Hamko Kuch STEPS Kom Follow Karna Padega.
STEP-1: Tally
Me Stock Items Banane Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info Me Click Kare
Phir Stock Items Me
Jake Click Kare Then Create Ke
Option Par Click Kare.
STEP-2: Stock
Item Me Name Ke Box Me Us Stock Item Ka Nam Likhege Jisko Hame Create Karna Hai.
Example Hum Redmi
Mobile Nam Ka Ek Stock Item Create Karte Hai.
STEP-3: Under
Me Hum Us Stock
Group Ko Select Karege, Jiske Under Me Redmi Mobile Aata
Hai. Jaise Ki Hum Jante Hai Ki Redmi Mobile (Mobile) Nam Ke Stock Group Ke Under
Aaega, To Hum Mobile Stock Group ko Under Option Me Select Karege.
STEP-4: Units Sabse Pahle
Jante Hai Unit Kya Hoti Hai Units Wo Hoti Hai Jiske Through Hum Kisi Bhi Chij
Ke Napate Hai, Aur Har Vastu Ki Apni EK Alag Units Hoti Hai. Example- (Milk Ki Unit Hogi Liter Etc ), To
Units Me Hum Ek Unit, Create Kar Lege, Ki Redmi Mobile Ko Kis Unit Me Sale Out
Karna Hai. Maine Yaha Pieces (PCS) Name Ki Unit Create Ki Hui Hai.
STEP-5: Opening Balance Agar
Us Item Ka Koi Opening Balance Hoga To Uski Jo Bhi Quantity,Rate (per) Aur
Value Jo Bhi Hoga Us Ko Hum Dal Dege.
Stock Items Ko Dakhna, Alter Karna Aur Delete Karna:
Stock Items ko Dakhne Ke
Liye Gateway Of
Tally Me Inventory Info me jake Stock Items Me
Display Option Par Click Karege, To Aapne Jo Jo Bhi Stock Items ko Create Kiya
hai wo Sabhi Stock Items Aapko Dikhai Dege.
Stock Items Ko Alter Karna:-
Stock Items ko Edit Karne Ke
Liye Aapko Alter
Option Me jake, Click Karna Hai . Waha par List Of stock Items
Me Aapko Wo Items Ko select karna Hoga Jisko Alter Karna Hai To wo Item Open Ho
Jaegi. Ab Aap Stock Items Ki Sari Details Ko Edit Kar Sakte Hai.
Stock Items Ko Delete Karna:-
Stock Items Ko Delete Karne Ke
Liye Bhi Hamko Alter
Option Me Jake, List me Jo Stock Item Ko Delete Karna Hai ,Usko
select Karege Aur (Alt+D) Keyboard
Se Press karege Wo Stock Item Delete Ho Jaegi.